Aas Hui Phirse
- aminquraishii
- Jan 30
- 1 min read
30-Jan-2025
Regrets.

Jis raaste ko main khud chroke aa chuka hoon
Kya phirse us raaste pe chal sakta hoon
Jis dil ko main khud torke aa chuka hoon
Kya phirse usi dil se jur sakta hoon
Jis darwaze ko main khud hi band kar aaya hoon
Kya ek baar phir woh darwaza khol sakta hoon
Jis taaluq ko main khud hi rad kar chuka hoon
Kya phirse woh taaluq zinda kar sakta hoon
Jis chehre se main apni aankhien pher chuka hoon
Kya woh chehra phirse main dekh sakta hoon
Jis waade ko main nahi nibha paya hoon
Kya ek baar phir woh waada kar sakta hoon
Jin aakhon ko main khud rulake aaya hoon
Kya unhi aankhon se phir nazar mila sakta hoon
Jis lamhe mein woh galat faisla kar aaya hoon
Kya phirse woh lamha main jee sakta hoon
Kyun chah raha hoon yeh silsila shuru ho phir se
Hai yeh mera gham, akelepan ki had ya pachtawa dil se



Comments