Kaisi Hogi Woh
- aminquraishii
- Dec 30, 2024
- 1 min read
30-Dec-2024
This will be my last poem of this year.
I always wonder what she will be like...

Neeli, bhoori ya kaali kis rang ki hongi uski aankhien
Bhavien simti hui hongi ya phir khari huin
Aur palkien sajke bethi hongi aankhon par ya jhuki.
Rukhsaron pe uske laali raha karegi ya phir honge ikrang
Hont uske gulaab ki pankhri se honge ya phir daali se
Garhe numaya honge kya jab woh muskurayegi.
Baand ke rakha karegi woh apni zulfon ko ya phir lehrati
Kutare hue nakhun honge meri tarah ya phir chamakte
Jild hogi uski baadal si mulaiyum ya phir surkh.
Haathon mein haath daalke chalegi ya phir sharmaya karegi
Sehmi si hogi ya phir chehekti raha karegi
Sehleeka pasand hogi ya phir thori si bedhangi.
Aankhon se hi baatien samjah jaayegi ya ishaaron se
Auro se jalegi mere liye ya rahegi befikar
Amin ya sunien kya kehke bulayegi mujhe



Comments