Kyon Na Usko Hum Bhula Sake
- May 11, 2024
- 1 min read
16-Dec-2019
Why was not I able to forget her?

Kyon na usko hum bhula hi sake
Uski judai kyon na seh hum sake
Itne roz baad bhi hum usko hi kyon take
Har din zehen mein jeeraha hai mere
Jo saath uske guzra tha saaye mein
Saansie meri yeh barh ne lagi betahashaa
Uske chehre pe nazar jab bhi pari
Adhure khwaab aankhien bunne lagi
Ranj hi bas usne tohfe mein tau diye
Hamare jazbaaton ki bhi na ki qadr
Mujhse shakhs ka darja bhi cheenliya
Yun tau kaafi baatien humse woh kargai
Par jab dil ki baat usse kahi
Hans ke usne sab unsuni hi kari
Mujhko aansyuon ke saath tanha kargai
Usko chahke aisi kya khata hogai
Har lamha ab ek saza sa hogaya
Khuda ab usko mitade mere khayal se
Ya phir usko haqeeqat mein de mila
Dil uska mere dil pe de basa
Comments