Love In Daily Life - II
- aminquraishii
- Feb 20
- 2 min read
20 February, 2025
This is the second installment in the series of scripts. I wrote this on 23 January, 2024.
The first part depicted her love towards him and this part describes his love for her.
INT. INSIDE THE HOUSE
She is sitting on the sofa and talking to her friends on a
group call
FRIENDS
Achi sale lagiwi hai is baar ab bas
yeh kaprey darzi time pe seede aur
sahi se seede phir Eid main maza
aayega InshaAllah. Tum tau apni
shopping dikhao yaar
He is back from work
He unlocks the main door and comes in
HIM
Assalamualaikum
He notices that she is in a call and mouths Hello
She mouths back Hello and smiles
He walks towards his room
HER
Are abhi tak shopping kari nahi yeh
itna masroof hote hain InshaAllah
jab karungi tau dikhaongi
He hears this and his mood changes but she does not notice
HER (CONT’D)
Acha ab main khaana khaane ja rahi
hoon. Baad main baat karte hain
Few minutes later
She is sitting at the dining table with all the food ready
HER (CONT’D)
Jaldi aaien bhai bhook lag rahi hai kabse
He has now changed from his work clothes to sleepwear
He comes and sits on the chair next to her
They both grab their plates and get food
She starts eating
He breaks a piece of roti and dips it in the gravy. He keeps
dipping it without eating.
She notices this
HER (CONT’D)
(jokingly)
Ab itna bura bhi khaana nahi banaya
ke aap ek niwala bhi na lein
He drops the piece back to his plate and looks to her in the
eyes but then he looks away from her. He avoids her gaze and
takes a long sigh
HIM
Sorry tumhe meri wajah se jhoot
bolna parhta hai apni doston se ke
hum waqt na hone ki wajah se
shopping pe nahi ja pa rahe jabke
tumhe pata hai ke hum paise na hone
ki wajah se nahi ja rahe
HER
Ohoo is baat pe aap itna pareshaan
horahe hain. Abhi halaat kharaab
chal rahe hain InshaAllah kal sahi
hojainege, aap uski tension na
lein. Araam se khaana khaaien
He gets up from his chair
HER (CONT’D)
Kidhar ja rahe hain ab
HIM
Paani la raha hoon kitchen se
He goes to the kitchen and while he is gone she notices a
shopping bag at the leg of his chair
HER
Yeh shopping bag main kya hai
HIM
Are haan usko kal stree karlena Eid se pehle
HER
Woh tau sahi hai lekin yeh hai
kiska suit aur woh bhi Sana Safinaz ka
He comes back from the kitchen and leans over her chair
HIM
halaat kharaab tau chal rahe hain
lekin itne bure bhi nahi ke main
apni biwi ko Eid pe suit na de
sakun
She looks at him and starts crying
HER
Iski kya zaroorat thi maine kaha
bhi tha aapse ke purana suit hai
mera main woh pehenlungi
HIM
Ab tau aapko yeh naya suit hi
pehenna parega
He sits on his chair and starts eating
She is still crying and looking at him
HIM (CONT’D)
(JOKINGLY)
Ab itna bura bhi khaana nhai banaya
hai aapne ke aap niwala bhi na lein
She smiles and wipes off her tears and starts eating
Comments