Yeh Dil Nahi Jalta
- aminquraishii
- Feb 24
- 1 min read
24 February, 2025.
I have to say that my late night walks on my chhat in Karachi always bring out the best in me. It's 04:24 and I am just strolling while listening to songs.
While I was walking this thought popped up in my mind that the only thing I'm actually envious of is love. I always pray nazar ki dua whenever I see a couple because I don't want to cause them any damage, even subconsciously.
Tomorrow, I will fly back to Bangkok, InshaAllah, so no more late night walks on chhat for a while. Anyway, enjoy the poem.

Logon ka paisa dekhke yeh dil nahi jalta
Unko aur khazane milein yeh dua hai karta
Logon ke ghar dekhke yeh dil nahi jalta
Unko aur mahalat milein yeh dua hai karta
Logon ki asaayshein dekhke yeh dil nahi jalta
Unko aur barkatien milein yeh dua hai karta
Logon ki tarraki dekhke yeh dil nahi jalta
Unko aur kamyabian milein yeh dua hai karta
Logon ki khoobsurti dekhke yeh dil nahi jalta
Unko aur husn miley yeh dua hai karta
Logon ki khushi dekhke yeh dil nahi jalta
Unko aur khusiyan milein yeh dua hai karta
Bas logon ke humsafar dekhke yeh dil hai jalta
Mujhe bhi koi apna miljaye yeh dua hai karta
Wahhh yarrr, love it